Ye jhuki palake, Tanhai ka aalam,
Maen bahut roi, tum kahan the baalam !
Ye kali-kali raat, Bebsi ka aalam,
Maen baithi anchhui-si, paas aa jao baalam!
Ye thandi-thandi raat, Barsaat ka mausam,
Anhkhiyon me nind bhari-si, Jana na mujhe chhod baalam!
Bele ki kaliyan khil jane do,
Mujhe in phoolon se jhagad lene do,
Kitne parson ko hal jane do,
Mujhe mat roko bas, Kah jaane do!
Badli se chanda ko upar aa jane do,
Ghar k aangan me raushani aa jane do,
Ye kamre ka darvaja band kar lene do
Ghar k dipak ko so lene do,
Ghar k dipak ko so lene do,
!

Ye sej phoolon se saja lene do,
Mujhko aanchal me khusbuon ko bhar lene do,
Aaj mitne do har andhera dil ki galiyon se,
Unme pyar ki jyoti jal jane do!
Ye kaali raat tanhai ka aalam,
Tumhe ji bhar k dekh lene do saajan!
Ye gori baanhe, Mehndi rache hath,
In baahon me tujhe bhar lene do baalam!
Ek premika ki man ki bhasha ....
ReplyDeleteuske kuch sapne ..kuch abhilasha ....
kya chahti hai vo apne saajan se.....
bas ise hi apni tuti-futi bhasha me likhne ka gunaah kiya hai maine ....